Maana Bharat langda raha , par Jaipur-foot banna kahaan mana hai !
Mahapuroshon Bhagwano se seechit , aisa mahaan itihaas kahaan bana hai !!
Aao thoda samay nikaale , beete waqt kaa daura karein ,
Jab jhukaaya hamne toofano ko ,un prayaason pe gaur karein !
Jab loota Angrezon ne aise ,khaaye lakde ko dimak jaise ,
Kuch feke tookdon ko chodkar , jaate vilayat saare paise !
Par sehke laathiyon ka vaar , khaayi hamne goliyon ki maar ,
Vyaktigat Sukhon Ko Tyag , lagaayi Azaadi ki naiyya paar !
Kaale Pani ki raaton ke saamne , aaj kaa andhera kahaan ghana hai ,
Maana Bharat langda raha , par Jaipur-foot banna kahaan mana hai !
Sultano ka , Mughalon kaa , shaasan hi kuch aur tha ,
cheen gayi dharm ki azaadi , kattarpanti kaa daur tha !
Vasoola jaata Jaziya maano Hindu hona hi guna tha ,
Iss Anyaay ke ant hetu , honi ne Shivaji ko chuna tha !
Ikkatha kiya Mavalon ko , li Shapath lenge Swaraj ,
Krishna Neeti Aur Bhagirath Prayatno se , feka kroor shasakon kaa taaj !
Shivaji banna mushkil lage toh Maval banna kahaan mana hai ,

Aise anginat udaharon se , bhara jiska itihaas hai ,
Woh hai Bharat Desh , jiski bhoomi hi kuch khaas hai !
Aisi sabhyata ke waaris hokar , hataash ham kaise ho sakte ,
Apne atith se vanchit rehkar , neend mein kaise so sakte !
Jis vyakti ke dimaak mein , Krishna Neeti ko jagah hai ,
Uske prayaason ko kabhi , kismat ne kahaan thaga hai !
Apne jeevankaal se aagey ka , vichaar karna kahaan mana hai ,

Chunaavon ka ballot box , Kurukshetra ka naya vesh hai ,
Imaandaar Arjuno kaa prachaar hi dharm ka aaj sandesh hai !
Jab koi Duryodhan aaj , atyachaar ke ghaav deta hai ,
Aapas mein hi ladvaake , shanti kaa abhaav karta hai ,
Aise rakt risaav ke khilaaf , matdaan hi raktdaan hai !
Isiliye toh kehte hai , Loktantra shreshtha mahaan hai !
Mushkil thi talvaaron se kranti par matdaan karna kahaan mana hai ,
Maana Bharat Langda Raha Par Jaipur-foot banna kahaan mana hai !
- Bhushan Shah