Thursday 15 August 2013

15 August Ka Din Kehta

                                                                                                                                                                   

    15 August Ka Din Kehta , Azaadi Abhi Adhoori Hai !

Krishi Pradhan Bharat Mein, Kisaan Bijli-Paani Ko Ro Raha,
Aaram-Anand Mein Leen Shehar Vaasiyon ki, Samvedanshilta Kho Raha !
Mehnat Karta Kisaan Hai, Fal Khaata Hai Dalal ,
Lendaaron Ke Karz Tale, Ho Raha Kisaan Halal !
Hazaron Kisaan Khudkushi Karte , Kaisi Yeh Majboori Hai ?
 15 August Ka Din Kehta , Azaadi Abhi Adhoori Hai !

Anaj-Sabziyon Ke Daam Se, Machta Pet Mein Hahakaar,
Hoti Jamakhori Anaajon Ki, Sarkar Kar Rahi Balaatkar !
Garibi Rekha 32 Rupye, Sarkaari Thali Hazaron Mein ,
Raashan Ka Anaj Bhi Bik Raha ,Koyle Se Kaale Bazaron Mein !
Mehengai Aur KalaBaazari Ne, Kamar Todi Ab Poori Hai !
  15 August Ka Din Kehta , Azaadi Abhi Adhoori Hai !

Kabhi Naxali Hamla Karke, Jangalon Se Aatank Machate Hai ,
Kabhi Chini- Sainik Ghuspaith Karke , Bharat Sarkar Ko Nachate Hai !
Kabhi Mumbai Mein Ghuske Aatanki Goliyaan Chalate Hai ,
Azad Maidan Mein Khule Aam Sampradayikta Failate Hai !
Bharat Aur Suraksha Ke Bich, Aaj Ek Lambi Doori Hai !
 15 August Ka Din Kehta , Azaadi Abhi Adhoori Hai !

Kashmir, Poorvatar Ke Rajdrohiyon Par, UPA Sarkar Shant Kyun Hai ?
Rashtrabhakton Ke Pravesh Par Paavandi, Kashmir Aisa Praanth Kyun Hai ?
Dilli ,Mumbai Mein Desh Drohiyon Ki Sabha, Beroktok Kyun Chalti ?
Rashtrabhakton Ki Sabha Par, Sarkari Lathi Ki Varsha Kyun Hai ?
Ab Desh Ka Dushman Sarkari Mehman, Aur Deshbhakt Hi Vidrohi Hai !
15 August Ka Din Kehta , Azaadi Abhi Adhoori Hai !

Jab Kashmir, Assam , Keral Mein , Hindu Par Atyachaar Hota Hai ,
Tab Babri-Masjid Pe Ronewala Neta , Uspar Kyun Nahi Rota Hai ?
Hindu Se Isaai Gair-Kanooni Dharam Parivartan Aaj Ho Raha ,
Kyunki Kar Hawale Rashtra Bhediyon Ke , Virat Hindu Aaj So Raha !
Hindu Virodhi Dhongi Secularon Ka Sampoorna Khandan Zaroori Hai !
15 August Ka Din Kehta , Azaadi Abhi Adhoori Hai !

Par Vartman Sthitiyon Se Ab , Hataash Nahi Hona Hai !
Sahi Disha Mein Dhaklenge Desh , Housla Nahi Ab Khona Hai !
Hataash Hone Waale Yaad Rakh , Azaadi Adhoori Hai ,Khali Nahi !
Maan Kar Haar Humein Deni , Swatantrata Senaniyon Ko Gaali Nahi !
Paaya Bahut Azaad Bharat Ne , Kuch Kamiyaan Beshak Reh Gayi !
Rashtrabhakt Netaon Ki Kuch Karniyaan , Deshdrohiyon Ke Haathon Beshak Beh Gayi !
Par Drid Nishchay Aur Karma Ki Taakat , Koi Shakti Tod Nahi Sakti ,
Karma Karne Se Sone-Ki-Chidiya Ko, Bharat Aane Se Mod Nahi Sakti !
Aao Milke Shapath Le, Is Ghayal Bharat Ko Punaah Buland Karenge !
Sardar Patel, Shastri, Jayaprakash, Vajpayee, Modi Sa Netrutva Karenge !
Tab Jaake Maanega Dil Ab Azaadi Puri Hai ,
Lekin Tab Tak , 15 August Yaad Dilayega ,
Azaadi Abhi Adhoori Hai !!

Happy Independence Day !!

                                        - Bhushan Shah 

Blogspot -      http://bhs7rocks.blogspot.in/
                                                                                                                                                                    


6 comments:

  1. Brilliant write up Bhushan.... Keep up the good work :)

    ReplyDelete
  2. Is it a remake of Shri. Atal Bihari Vajpayee's 'Azadi abhi adhuri hai' written on 15th Aug 1947? Did you rephrased it?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Naah But the first line is similar and I agree to that !

      Delete