Ek Sipahi Jo Yuva Kaal Mein Shaheed Ho Gaya,
Rashtra Hit Mein Apne Lahu Ki Nadiyaan Baha Gaya,
Tirange Mein Lipti Laash Uski Gharpe Pahuch Gayi,
Shok Mein Dooba Gaav,Udaasi Cha Gayi,
Khoon Se LathPath Khat Jo Uski Maa Ko Mil Gaya,
Shahadat Se Pehle Beta Maa Ko Likh Gaya,
Samarpan Ko Ab Aasuon Mein Dhona Nahi Hai,
Samarpan Ko Ab Aasuon Mein Dhona Nahi Hai,
Laash Ko Dekh Meri, Ab Rona Nahi Hai !!
Har Roz Is Sarhad Par, Mujhe Ghar Ki Yaad Aati,
Bachpan Ki Shanti Piche Chod, Jang Ki Aag Ab Satati !
Yahan Maa Tere Aangan Sa Sukoon Nahi Hai,
Par Duniya Mein Jang Ka, Aisa Kahin Junoon Nahi Hai !
Yeh Ladaai Hai Siddhanton Ki, Yeh Ladaai hai Dharma Ki,
Sataaye Jo Duniya Ko, Sarvanaash Ke Us Adharma Ki !
Jang Sa Duniya Mein Kuch Bhi Ghinona Nahi Hai,
Sataaye Jo Duniya Ko, Sarvanaash Ke Us Adharma Ki !
Jang Sa Duniya Mein Kuch Bhi Ghinona Nahi Hai,
Laash Ko Dekh Meri, Ab Rona Nahi Hai !!
Teri Hi Tarah Maa, Meri Ek Maa Aur Bhi Thi,
Teri Hi Tarah Maa, Meri Ek Maa Aur Bhi Thi,
Uske Prati Bhi Meri, Kuch Zimmedaariyaan Aur Bhi Thi !
Zimmedaarioyon Ke Pahaadon Par, Mein Chadta Chala Gaya,
Rashtra-Hit Ka Har Kaarya, Mein Karta Chala Gaya !
Rashtra-Hit Ka Har Kaarya, Mein Karta Chala Gaya !
Par Pahadon Ki Choti Se Maa, Parivaar Piche Chhoot Gaya,
Vyaktigat Sukhon Se Mera, Har Woh Naata Toot Gaya !
Sab Kuch Nichaavar Kar Diya, Ab Kuch Bhi Khona Nahi Hai,
Vyaktigat Sukhon Se Mera, Har Woh Naata Toot Gaya !
Sab Kuch Nichaavar Kar Diya, Ab Kuch Bhi Khona Nahi Hai,
Laash Ko Dekh Meri, Ab Rona Nahi Hai !!
Socha Tha Tune, Apne Liye Bahu Laayegi,
Haath Mein Liye Pote Ko, Sneh Se Uske Gaal Sehlaayegi !
Sapne Mein Shehnai Bajayi, Tasveer Meri Grihasti Ki Banayi,
Sajayi Ghodi Haathon Se, Banayi Mithaai Haathon Se !
Par Naa Kabhi Shehnai Baji, Naa Ghodi Mein Chada !

Kabhi Toh Chadunga Ghodi Sochkar Sarhad Par Mein Khada !
Par Bin Ghodi Chade Maa Tera Laal So Gaya,
Socha Tha Tune Kya, Aur Kuch Aur Hi Ho Gaya !
Tutlaati Boli Pote Ki Tu Sun Na Saki Maa !
Apne Haathon Apni Kaliyaan Chhu Naa Saki Maa !
Pote-Poti Sa Zindagi Mein Tere Khilona Nahi Hai,
Laash Ko Dekh Meri, Ab Rona Nahi Hai !!
Pitaji Ka Seena, Ab Garv Se Chouda Hoga,
Par Budhape Ki Adhoori Icchhaen Liye, Man Unka Douda Hoga !
Paala Bade Chaav Se, Kisi Cheez Ki Kami Naa Ki,
Par Sivaai Tanhaayi Budhape Ki, Maine Koi Cheez Naa Di !
Yatra Par ChaarDhaam Ki, Unhe Saath Le Naa Saka,
Kamzor Padte Kandhon Ko, Sahara Mein De Naa Saka !
Arthi Ka Boj Bete Ki, Sahan Hona Nahi Hai !
Laash Ko Dekh Meri, Ab Rona Nahi Hai !!
Sochte Hai Kuch Log, Shahadat Pe Siyasat Khelenge,
Ghariyaalo Aasu Baha Kar, Chan Laakh Fek Shahadat Khareedenge !
Par Keh Dena Inse Maa, Shahadat Aisi Bikaau Nahi,
Kaale Dhan Se Prapt Ho, Shahadat Aisa Laabh Nahi !
Bete Ke Balidaan Se, Himmat Tu Rakhna Maa,
Bete Ke Balidaan Ki, Koi Kimmat Na Lena Maa !
Makmal Ke Bistar Pe,Ab Sona Nahi Hai,
Laash Ko Dekh Meri, Ab Rona Nahi Hai !!
- Bhushan Shah
Twitter - www.twitter.com/bhs7rocks
Blogspot - bhs7rocks.blogspot.in
Facebook - www.facebook.com/bhushans2
HMM GUD 1,MY EYES wer filled with tears reading it
ReplyDeletethank you so much !!
Deletevery nice nd heart touching (y)
ReplyDeleteThank You !!
Deletenice one....
ReplyDeleteThank You !!
DeleteToo much emotional and nice poetry..👌👌
ReplyDelete