Saturday 22 June 2013

A poem dedicated to Unsung Heroes !!

Jab Sankat Aaye Sarhad Paar se ,
aur barse aandhi Watan pe,
Tab Tab dao pe lagaye woh apni Jaan,
Taaki Mit naa Jaaye Bharat ki shaan !!

Chahe ho Rajasthan ka Rann,
Yaa ho Arunachal Pradesh Ki thand,
paseene se Sharir bheeg jaaye,
thand se nafz jam jaaye,
par housla rahe buland !!

Himalay mein jab barf padti,
aur sadke ho jaati jaam,
yaa baadh aaye Assam mein,
tham jaaye saara kaam,
tab khud ko chahe naseeb ho yaa naa ho khana,
par logon ko pahuchaye raahat kaa har ek daana !!

Har aapda mein bhool jaaye,
ki unmein bhi basti hai jaan,
parivaar aur bacche hai unke bhi,
awaaz ko unke taraste jinke kaan !!

Tyoharon ke Mahasagar mein,
Jab pura Desh haste haste doobe,
tab nikale woh har woh kaata,
Jo Desh ki Suraksha ko Chube !!

Duty par hi unki Diwali,
Khoon se khele woh Holi,
Fatakon ki jagah Grenades fat te,
Rangon ki jagah barasti hai Goli !!

Yeh koi Swarg se aaye Vishnu-Avatar nahi,
Par darje mein unse kam bhi nahi,
Musibat thaka de inko yeh mumkin,
Par jhuka sake, Musibat mein itna dum nahi !!

Jis prakar maat-pita kare raksha bacchon ki,
Yeh log Naash kare Aatank ka, aur kare Raksha acchon ki !
Ek baar jo le liya kaam,toh pura karne ki Zeed aisi,
Jaise Zeed ho unki nahi,par Zeed ho bacchon ki !!

Isliye dekhe apne Jeevan mein,
Jab Jab ek naya Sabera,
tab Unhe zaroor Yaad kar le,
Jinhone Humari Raksha mein Prithvi Tyagi,
Aur Sajaya Swarg mein Basera !!
Maange jab bhi kuch Ishwar se,
Unke liye bhi kuch Maang lena,
Aur maangte hue kehte Rehna,

Jai Hind !! Jai Hind ki Sena !!

9 comments:

  1. Well written..Keep it up :)

    ReplyDelete
  2. awesome poem!!....woderful thoughts...I liked some paragraphs very much..

    but It would have been still better if u had used more rhyming words...

    please continue the good work!!

    ReplyDelete
  3. More poems on their way !! All on different themes of contemporary India !!

    ReplyDelete
  4. Awesome poem broda!!

    ReplyDelete